English learning step-by-step guide for hindi speakers


Kya aap…

Um, Hello…Uh, my name is, uh, Vikrant….and I….I am a here for…the interview. The madam called yesterday..um, she told me, um…..come today for interview at 11 o clock in the morning…uh, that madam name, uh Swati. Can you, uh, help?

Se,

Hello, my name is Vikrant and I am here for an interview with Madam Swati which she called about yesterday. Could you please help me locate her office and guide me through the interview process? Thank you.

…aise confidently, bina hich-kichahat, aur spasht English mein baat karna chahate hain? Toh, worry not. Yeh article aapko step-by-step guide karega, jisse aap ekdum farratedar, nisankoch, aur clear English bolna sikh sakte hain.

English Sikhna Kyu Important Hai For Hindi Speakers

India ke history me British rule ke wajah se English India ki ek important language hai. Ye government, education, aur jobs me ek official aur jyadatar use ki jaanewali language hai. But, fir bhi India me, paach me se sirf ek vyakti English me baat kar sakta hai. Iss desh me abhi bhi ek badi abadi hai jo English me baat nahi kar paati. Naturally, aise logon ko jobs, education, and other opportunities haasil karne me problems hoti hai.

Agar jobs ki baat kari jaye, to ek research ke anusar eighty-five percent Indian employees ye maante hai ki career me aage badhne ke liye English ka aana jaroori hai. But, fir bhi bohot log kitna bhi try karein English seekh nahi paate, khaskar jo Hindi belt region, jaise ki UP, Bihar, Madhya Pradesh ya fir Tier II, Tier III, ya chote gaav se belong karte hai. Is wajah se ye log professional life me safal ya advance nahi kar pate.

English sikhna Hindi bhashi logon ke liye Mumbai, Hyderabad aur Bangalore mein rozgaar ke avasar khol deta hain. Globalization ke karan kaafi videshi companies aajkal India ke bade shehron me aa gayi hai jahan logon ko ek acchi salary milti hai. Lekin iske liye unhe acchi English bolne ki jarurat hoti hai.

To aayien jante hai ki Hindi speakers english bolna kaise sikh sakte hai ekdum saral tarike se.

Clear Goals Set Karna

Realistic aur achievable goals koi bhi bhasha seekhne ki pratikriya ko nirdharit karne me important role play karte hai. English seekhne ke lakshyon ke importance ko saamjhna purey prayas ko adhik purposeful and effective bana sakta hai.

Personal motivation identify karna English kaise seekhe is question ka satik answer khojne me help kar sakta hai. Aap English kyu sikhna chahte ho? Kya vo personal reasons ke wajah se hai? Ya kya aapko aapke career me progress karne ke liye English sikhna hai? Ya fir aap personality development ke liye English sikhna chahte ho? In sabhi baaton ka khayal rakhkar aap apne goals set kar sakte hai.

Next, aapko aapke short term and long term goals set karne hai. Short term goals me new words sikhna ya uccharan clear karna ya new grammatical rules sikhna shaamil ho sakte hai hai. Aap long term goals me apne English fluency ko improve karne ya language ki achhi depth me understand karna jaisi goals set kar sakte hai.

Iske baad, aapko ek study plan create karni hai jisse aap apne short-term and long-term goals ko achieve kar saken. Is study plan me aapko kya sikhna hai and uske liye kitna time samarpit karna hai ye shaamil hona chahiye.

Online Resources Use Karke English Kaise Sikhe

Online resources bohot helpful sabit hoti hai English sikhne me. Agar aap soch rahe hai ki online resources use karke english padhna kaise sikhe, english speaking kaise sikhe,ya english likhna kaise sikhe, to aayien dekhte hai ki aapko kya online resources mil jayenge.

Bharosemand English Learning Platforms

Online, aapko kai saare English learning platforms mil jayenge jo aapko helpful resources provide karte hai. Aap unme se apne pasand ke kisi bhi platform dwara apne English skills me sudhaar la sakte ho.

Clapingo, ek bharosemand aur badiya platform hai jo aapko English speaking, reading aur writing sikhane me help karta hai. Is platform ko use karke aap apni grammar skills bhi improve kar sakte ho.

Clapingo par ap apne pasand ke teacher ke saath personalized one-on-one English learning sessions join kar sakte hai. Aapke teachers aapko kai activities aur exercises, aapke personal goals ke anusar, provide karenge jo aapke English skills ko enhance karne me madad karengi. Aap aaj hi ek trial class join karke Clapingo ka quality aur efficiency check kar sakte hai.

Aap popular YouTube channels bhi use kar sakte hai jo English learning, writing, and speaking skills ke liye kafi helpful hote hai. Aapko videos, lectures aur audio recordings dekhne ko milenge jinhe aap apni pacing ke anusar dekh kar English learn kar sakte ho. Hum aapko recommend karenge ki aap Sartaz Classes and Serene Paathshala jaise channels ko dekhe. Ye channels ek simple aur interactive way me English seekhne ka mauka dete hai.

Basic English Grammar Me Maharat Hasil Kaise Kare

English bolna kaise sikhe isme basic English Grammar ki samajh ek mahatvapurn kadam hai. Aap in baaton ko dhyaan mein rakhkar English Grammar ki practice kar sakte hai:

Sentence Structure aur Parts of Speech Samajhna

Sentence structure jaise subject, object, aur verb aur parts of speech jaise noun, pronoun, verb, adjective, adverb, aadi ko samajhne ka prayas karein. English aur Hindi mein diye gaye udaharan is concept ko samjhne mein madadgar ho sakte hain.

  • Noun - Naam

  • Pronoun - Sarvnaam

  • Adverb - Kriya visheshan

  • Adjective - Visheshan

  • Verb - Kriya

Sentence Str​ucture Example:

My name is Ram

My name - Subject; is - Verb; Ram - Object

Mera naam Ram hai

Mera naam - Subject; Ram - Object; hai - Verb


Tenses, Verb Conjugation, aur Agreement Sikhna

English mein verb conjugation, agreement aur tenses ko jaanana bahut mahatvapurn hai. Inhein sikhne se aap baat karne mein fluent ho jayenge. Hindi mein tenses, verb conjugation aur agreement bhi isi tarah se sikhne ki jaroorat hai.

  • Verb Conjugation Example:

English - I speak.

Hindi - Mai bolta hu.

English - He speaks.

Hindi - Vo bolta hai.

  • Tenses Example:

English - I was speaking.

Hindi - Mai bol raha tha.

English - He will be speaking.

Hindi - Vo bolne wala hoga.

  • Agreement Example:

English - He is a doctor.

Hindi - Vo ek doctor hai.

English - They are doctors.

Hindi - Ve doctors hain.

Articles, Prepositions, aur Conjunctions Ko Mastery Karna

Articles (a, an, the) noun ko spasht rup se vyakt karte hain, jabki prepositions (in, on, under) shabdon ke beech sambandh darshate hain. Conjunctions (or, so, for, but, because, etc) vicharon ko jodne mein madad karte hain. Inka sahi istemal sikhna mahatvapurn hai.

Examples:

Article: This is an apple. (Ye apple hai.)

Preposition: Vo table ke niche tha. (He was under the table.)

Conjunction: Vo purana tha, lekin bahut sundar tha. (It was old but very beautiful

Vocabulary Ko Enhance Kaise Kare

Ek baar aapne English grammar par maharat haasil kar li, fir aapko ab apni vocabulary ko enhance karna hoga. Aayiyen dekhte hai English padhna sikhna se aap vocabulary ko kaise enhance kar sakte hai.

  • English books, newspapers, and magazines padhein

English vocabulary ko enhance karne ke liye aap shuruwat books, newspapers aur magazines padhne se kar sakte hai. Inmein aapko naye shabd aur phrases milenge. Aese words ko samajhne par aap apni vocabulary se enrich hote hain. Aap start me ekdum simple books padhein. Ek baar aap easy English wali books easily padh paye, to fir dheere dheere complex languages wali books padhein.

  • Mobile apps ki madad le

Kai saare free aur paid mobile apps hai jinki madad se aap apni vocabulary ko enhance kar sakte hai. Aese apps me aapko daily new words aur phrases milenge. Aap khud se bhi new words learn kar sakte hain. Google Translate aur Clapingo jaise apps se aap apni vocabulary me new words learn sakte hain.

  • Flashcards aur quizzes ki madad le

Lastly, aap flashcards aur quizzes ki madad le sakte hain. Flash cards se aapko regularly new words yaad rakhne me help milti hai. Ye cards aapke memory ko boost karne me help karte hain. Quiz bhi ek acchi tarah se words learn hone ki process ko easy banati hai. Aese quizzes me different levels hote hain jisse aapko complex words yaad rakhna asan ho jata hai.

Niche di gayi tables aapko vocabulary improve karne me madad karenge:

Base Word

Noun form

Adjective Form

Verb Form

Celebrate

Celebration

Celebratory

Celebrate

Music

Musician

Musical

Play Music

Nation

Nationality

National

Nationalize

Child

Childhood

Childish

Childcare

Create

Creation

Creative

Create

Educate

Education

Educational

Educate

Garden

Gardening

Garden

Garden

Communicate

Communication

Communicative

Communicate

Photograph

Photography

Photographic

Photograph

Explore

Exploration

Exploratory

Explore

Confused Words

Correct Usage

To / Too

She went to the store. It's too hot.

Farther / Further

The destination is farther. Let's discuss this further.

Principal / Principle

The school's principal is retiring. Honesty is a principle I value.

Stationary / Stationery

The car is stationary. I need some stationery for writing.

Lose / Loose

Don't lose your keys. The shirt is loose.

Than / Then

He is taller than her. First eat, then play.

Effect / Affect

The medicine had an effect. Emotions affect our decisions.

Its / It's

The dog wagged its tail. It's raining.

Your / You're

Is this your book? You're very kind.

Their / They're

Their cat is cute. They're coming over.

English Confidently Bolna Kaise Sikhe

Basic grammar aur vocabulary improve karne ke baad agla kadam aapka English confidently aur fluently bolna hona chahiye. Issey aap khud ko confidently express kar payenge aur apne thoughts easily dusron ke saath share kar payenge. Agar aap English speaking kaise sikhe janna chahte hain, toh aapko language ko learn karne ke liye in tips ko follow karna hoga:

  • Mirror ke saamne practice karna

Aap har din mirror ke saamne practice karke apne English improve kar sakte hain. Agar aapko difficult words ya phrases ko bolna hai, toh ye exercise aapko correct pronunciation aur annunciation seekhne mein help karega.

  • English-bhashi logon ke saath practice karna

Aap native-english speakers ya aise log jinki English fluent hai, aise logon ke saath practice karke apni English ko behtar bana sakte hain. Aap family members, relatives, ya friends ke sath shuruwat karein jissey aapka confidence build ho jaye. Fir aap advanced-English speakers ke sath practice kar sakte hain.

  • English mein movies, songs aur podcasts sunna

Aap English movies dekhein aur usski dialogue ko follow karein. Songs bhi ek achhi tarike se seekhne ka source hai, isliye English mein songs sunne ka koshish karein. Aur podcasts bhi sun sakte hain, jo aapko difficult words aur pronunciation ko understand karne mein help karega.

Niche diye gaye table aapki English speaking improve karne me madad kar sakte hai:

Situation

Useful Phrases

Greetings

Hello! How are you?

Ordering Food

I'd like to order the chicken curry, please.

Asking for Directions

Can you tell me how to get to the nearest station?

Making a Reservation

I'd like to make a reservation for two people.

Asking for Help

Excuse me, could you help me with my luggage?

Shopping

How much does this shirt cost?

Word

Correct Pronunciation

Entrepreneur

ahn-truh-pruh-nur

Library

lahy-brer-ee

Jewelry

joo-uhl-ree

Nuclear

noo-klee-er

Espresso

e-spress-oh


English Likhna Kaise Sikhe With Easy Techniques

English sikhne ke last step mein hum aap easily English likhna kaise sikhe ispe focus karenge. English perfectly likhna sikhne ke liye, aapko kuch easy tips ko follow karna hoga. Inhe padhne aur ek saath implement karne se aapki English writing skills mein bahut improvement ayegi:

  1. Chhote vishayon par likhna shuru karein jo aapko parichit hain.

  2. Shikshakon, saathiyo, ya online communities se pratikriya prapt karein.

  3. Daily ek ya aadha ghanta English likhna practice kareing aur schedule ko strictly follow karein.

  4. Alag Alag writing styles analyze karein aur seekhein, jaise ki academic, journalistic, creative, etc. Issey aapko English writing improve karne me madad milegi.

  5. Likhne ke baad ek break le aur aap ne jo likha hai use revise aur edit karein. Issey aap short aur clear sentences likh paayenge.

  6. English mein vocabulary, grammar aur spelling sikhein aur practice karein.

  7. Books aur online articles read karein jo aapko English writing me help kar sakega.

  8. Aap Clapingo app use kar sakte hai jaha aapke tutors aapko correct English me likhne sikha sakte hai. Aapko time to time pe feedback aur practice advice milegi jissey aapki English writing aur bhi improve hogi.

Book Trial @ 99

1. Kya Ghar Se English Sikha Ja Sakta Hai? 

Haan, aap ghar se bhi English sikh sakte hain. Aapko bas daily practice aur motivation ki zaroorat hai.

2. Clapingo app se English kaise sikhe?

Clapingo app aapko English likhna, padhna, aur bolna sikhane me help karega. Aapko apni writing, reading, aur speaking ko improve karne me experts ki madad milegi. Bas aapko ek subscription kharidna padega aur aap tutors, lessons or practice drills se apni English ko improve kar sakte hain. Aap starting me ek demo class bhi book kar sakte hai sirf 99 Rs me.

3. English sikhne me kitne din lagte hai?

Angrezi seekhne mein samay person ke maujooda bhasha ke hunar par, padhne mein diye gaye samay, seekhne ke tarike, aur vyaktigat kabiliyat jaise factors par nirbhar karta hai. Lekin lagbhag kuch mahino se ek saal mein, nirantar prayas ke parinamswarup aap English seekh sakte hai. Clapingo ki madad se aap sirf 180 days me English seekh sakte hai!

You may want to read


Mastering English: Fast Track to Fluency and Confidence